Kanz e Aza

Ek Mehre Karbala

A noha written by Urooj Bijnori. Lyrics in Roman Urdu.

ek mehre karbala aur uski tanveere bahot

aaene mein yun nazar aati hai tasveere bahot


haasile ashke ghame shabbir jannat hi nahi

khuld se pehle bhi hai maqsoos jaagere bahot

ek mehre karbala…


tu bhi khaake karbala apni jabeen par mal ke dekh

hum ne yun bante hue dekhi hai taqdeere bahot

ek mehre karbala…


rishta e quran o ahlebait kya samjhenge wo

apni marzi se jo karlete hai tafseere bahot

ek mehre karbala…


tha ali ka sher aaya aur pani le gaya

sar patakti reh gayi darya pe shamsheere bahot

ek mehre karbala…


raaste ki har kadi zanjeer kat kar gir gayi

thi agarche paon mein abid ke zanjeere bahot

ek mehre karbala…


is mein shaamil hai lahoo sibte payambar ka urooj

kyun na rakhe karbala ki khaak taaseere bahot

ek mehre karbala…