baatil ka zehr phail raha hai hawaon may
rahiye wila e aale mohamed ki chaon may
lekar chala hai haath may taqdeer deen ki
gardan may jiske tauq hai zanjeer hai paon may
baatil ka zehr…
ek roz wo zameen par gir kar bikhar gaye
udte rahe jo zulm ki andhi hawa'on may
baatil ka zehr…
hai ab bhi deen e haq ke ujalon ka paasban
zehra ka chand zulm ki kaali ghata'on may
baatil ka zehr…
yun mustufa ki aabroo rakhli hussain ne
islam ko bacha liya ghir kar bala'on may
baatil ka zehr…
bache to sogaye shabe ashoor chain se
lekin bapa tha shor qayamat ka maa'on may
baatil ka zehr…
ay momino behan se juda kya hue hussain
zainab ke bain aaj talak hai fiza'on may
baatil ka zehr…
gulshan ke phool dekh kar murjha gaye urooj
lipte jo khaar hazrate abid ke paon may
baatil ka zehr…