baba aap ki zahra par kya waqt ye aaya hai
rone pa bhi pabandi hai bin bap ke beti ko yun
ummat ne sataya hai
baba aap ki zahra par...
baad aap ke kalmagoyo ne is darja sitam mujh par dhaye
gar din pa pade ye ranj o alam wo raat ke jaisa ho jaaye
bas mera khuda hi jaane ye bojh ghamon ka kaise
zahra ne uthaya hai
baba aap ki zahra par...
atthara baras ke sin mein hi baalon mein safedi aayi hai
hai jism mera sha kham hai kamar kamzor meri beenayi hai
ya shaahe madina dekho ummat ne nabi zaadi ka
kya haal banaya hai
baba aap ki zahra par...
ab baith ke padhti hai zahra mushkil se namazein bhi baba
dushwaar hua hai us din se kuch dayr khade rehna mera
jis din se mere pehlu pe jalte huwe darwaze ko
aada ne giraya hai
baba aap ki zahra par...
kya ye tha ajr risalat ka ummat se jo paaya hai maine
kuch neel nishano ko ab tak bacchon se chupaya hai maine
rukhsaar hai mera neela zaalim ne tamacha aisa
chehre pe lagaya hai
baba aap ki zahra par...
talwaar ke qabze se mujh par zaalim ne kiya jab se hamla
uth'te hi nahi dono baazu ek saath namazon mein baba
dil mera bahot roya hai takbeer ko jab jab maine
ek haath uthaaya hai
baba aap ki zahra par...
mai kaise kahun us dam baba kya beet gayi dil par mere
jab dekhe zameen par bikhre huye tehreer e risalat ke tukde
darbar mein tanha maine bikhre huwe un tukdon ko
chun chun ke uthaya hai
baba aap ki zahra par...
thay bain nadeem ek beti ke ye apne pidar ki turbat par
hil jaati thi qabr e paighambar kehti thi ye zahra jab rokar
thi aap se ranjish jinko un sab ne mujhe badle mein
jee bhar ke rulaaya hai
baba aap ki zahra par...