zahra ghareeb hogayi baba ke shehr may
ghut ghut ke zindagi kati baba ke shehr may
is dar ki manzilat se to shahid hai khud khuda
be-izn jibraeel bhi daakhil nahi hua
us dar pe aag dekhli baba ke shehr may
zahra ghareeb hogayi...
apne nabi ki beti ko haq na diya gaya
haq ki gawahi dene ko koi nahi mila
zahra pukarti rahi baba ke shehr may
zahra ghareeb hogayi...
hai fatema ke waaste mehshar se kam nahi
haathon may murtaza ke hai rassiyan bandhi hui
ghurbat ali ki dekhli baba ke shehr may
zahra ghareeb hogayi...
ro ro ke gham may baap ke jaati rahi nazar
athara saal may hui kham aap ki kamar
kitni zaeefa hogayi baba ke shehr may
zahra ghareeb hogayi...
gham ho bayan kis tarha ummul hussain ka
kaafi hai rone ke liye alvi yehi sada
beti tadap ke mar gayi baba ke shehr may
zahra ghareeb hogayi...