uneesvi ki subha wo mehshar bapa hua
aati thi aasman se jibreel ki sada
masjid mein mustafa ka wasi qatl hogaya
daude saron ko peet'te sibtain e mustafa
dekha ki khoon mein lot'te hai shaahe mashraqain
lipta ke apne seene se roye ba-shor o shain
pehle namaziyon ko padayi namaz phir
masjid se leke baba ko nikle hassan hussain
koi zainab ko thaam le jaa kar
ghar mein baba ko laa rahe hai hussain
hoga barpa abhi yahan mehshar
gham mein baba ke ro rahi hogi
hosh apne wo kho rahi hogi
haye aa jaaye na wo deodi par
ghar mein baba ko...
arsh waale pachade khaate hai
chand taare bhi thar'tharate hai
subha aayi hai aaj nauha gar
ghar mein baba ko...
dil pe sadme sabhi uthalunga
kaise zainab ko mai sambhalunga
sochte jaa rahe hai ye shabbar
ghar mein baba ko...
pyar karne ko nana jaan nahi
haye amma ka sayeban nahi
kaun dhaaras bandhayega bad kar
ghar mein baba ko...
taygh zaalim ne aisi maari hai
zakhm sar ka bahot hi kaari hai
koi jaa kar bicha de ek chadar
ghar mein baba ko...
zakhm sar ka na dekh payegi
wo pachaade zaroor khayegi
kaise samjhayenge usay jaa kar
ghar mein baba ko...
raah mein khoon tapakta jaata hai
aur amaama latakta jaata hai
kaise thaame do paara sar sarwar
ghar mein baba ko...
betiyon ki ajeeb hai fitrat
hoti hai baap se badi ulfat
koi ehwaal keh na de jaa kar
ghar mein baba ko...
dar pe aaye junhi shahe waala
ainee kohraam hogaya barpa
koi aamir ye kehta tha ro kar
ghar mein baba ko...