daair e raahib mein jo sarwar ka kata sar aaya
noor chehre ka jo dekha to bahot ghabraya
utha tazeem ko naize ke barabar aaya
godh mein leke wo sar hujre ke andar aaya
saaf karta tha lahoo mehwe buka tha raahib
moo pe moo rakh ke yehi soch raha tha raahib
laashein ghar bhar ki utha kar ye abhi soya hai
dekh kar chehre ko lagta hai bahot roya hai
warm aankhon ka batata hai bahot saabir hai
haye baalon ki safedi se yehi zaahir hai
ho na ho isne barabar ka pisar khoya hai
dekh kar chehre ko...
jaane ye kaun hai dil mera phata jaata hai
ya nabi zaada koi hai ya wali zaada hai
baad marne ke bhi naize pe jo ye goya hai
dekh kar chehre ko...
ye ragein khushk batati hai bada pyasa tha
jis ghadi taygh se zaalim ne gala kaata tha
kaunsi maa hai ke jisne ye pisar khoya hai
dekh kar chehre ko...
baal sab khoon mein matti mein atay hai is ke
hont bhi pyaas ki shiddat se phate hai is ke
apne ashkon se hi in honton ko bhigoya hai
dekh kar chehre ko...
log kehte hai badi eeza uthayi is ne
qabr masoom se bacche ki banayi is ne
khoon e masoom se hi zakhme jigar dhoya hai
dekh kar chehre ko...
dhyaan jab aaya behan ka tahe khanjar roya
sar khule dekha to phir naize ke upar roya
ye muqaddar isay kis mod pe le aaya hai
dekh kar chehre ko...
hont masoom si bacchi ke bhi pyase dekhe
haye lagte huwe gaalon pe tamache dekhe
rassiyon se bandha nanha sa gala dekha hai
dekh kar chehre ko...
jis ghadi qasim e muztar gaye maare roya
bhai ki laash pe darya ke kanare roya
dono haathon se kamar pakde huwe pahuncha hai
dekh kar chehre ko...
shadman godh mein rakhe tha qamar ko raahib
bain kehta tha yehi choom ke sar ko raahib
godh mein chand ka tukda ye meri soya hai
dekh kar chehre ko...