Kanz e Aza

Bain Karti Thi Ye

A noha for Imam Hussain (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

bain karti thi ye zehra mere mazloom hussain

kisne pyaasa tujhe maara mere mazloom hussain


na to akbar hai na asgahr hai na zainab ke pisar

kat gaya sab terq kunba mere mazloom hussain

bain karti thi ye zehra...


khaak se uth ke lago amma ki chaati se zara

gham se jalta hai kaleja mere mazloom hussain

bain karti thi ye zehra...


apne pushton ko to aada ne diya gor o kafan

teri mayyat ko na gaada mere mazloom hussain

bain karti thi ye zehra...


dayr se laash pa khaati hoo pachade waari

uth ke do maa ko dilaasa mere mazloom hussain

bain karti thi ye zehra...


beh raha hai rag e gardan se lahoo reti par

hai ye be-sar tera laasha mere mazloom hussain

bain karti thi ye zehra...


tukde tukde ho badan zulm ki talwaaron se

is liye kya tujhe paala mere mazloom hussain

bain karti thi ye zehra...