bain tha sakina ka shaam hone waali hai
kab tak aaoge baba shaam hone waali hai
khushk hai zaban meri teen din se hoo pyasi
kaun pani layega shaam hone waali hai
bain tha sakina ka…
subha ke charaghon ki tarha hai sabhi khamosh
cha raha hai andhiyara shaam hone waali hai
bain tha sakina ka…
neend kaise aayegi soyun kiske seene par
jald aaiye baba shaam hone waali hai
bain tha sakina ka…
asr ke ujaale mein ghar luta ke baithi hoo
phir na lootle aada shaam hone waali hai
bain tha sakina ka…
shaam ke tasavvur se kaampti hoo reh reh kar
ghut raha hai dam mera shaam hone waali hai
bain tha sakina ka…
bhai bhi chacha bhi hai kya tumhare saath ab tak
koi bhi nahi aaya shaam hone waali hai
bain tha sakina ka…
kya saeed kehta hai haale dil sakina ka
subha se hai hungama shaam hone waali hai
bain tha sakina ka...