na paa e sheh ko hai koi larzish
na dast e sheh thar thara rahe hai
ali ko awaaz de ke laasha
jawan pisar ka utha rahe hai
na paa e sheh ko...
rabab khoyi hui si baithi
hai ashk aankhon se jaa rahe hai
jo haath jhoola jhula rahe thay
wo ab bhi jhoola jhula rahe hai
na paa e sheh ko...
kisi ko haathon pa leke pachunche
kisi ka laasha utha ke laaye
hussain maqtal ko jaa rahe hai
hussain maqtal se aa rahe hai
na paa e sheh ko...
pahunche baali pa naujawan ki
hussain ba-haalate pareshan
sada uthaye ye naaz jis ke
ab uska laasha utha rahe hai
na paa e sheh ko...
khayal asghar ka aa raha hai
awaaz gum qalb hai pareshan
rabab uth uth ke dekhti hai
ke jaise asghar bjhula rahe hai
na paa e sheh ko...
saeed adab se jhukaye sar ko
mai apna nauha suna raha hoo
duayein deti hai mujhko zehra
ali mera dil bada rahe hai
na paa e sheh ko...