Kanz e Aza

Bali Sakina ki Ye

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Najam Azmi. Lyrics in Roman Urdu.

bali sakina ki thi ye fughan

ay mere baba ay mere baba

kuch to khabar do tum ho kahan

ay mere baba ay mere baba


jab se gaye tum qaime se baba

ek pal ko bhi mai so na saki hoo

shimr ka darr hai mujhko hamesha

rona bhi chaahu ro na saki hoo

kis ko bulaun jaaun kahan

ay mere baba ay mere baba

bali sakina ki thi ye...


shaam e ghariban qaimon may aa kar

aag lagadi jis dum layeen ne

khauf tha har soo saydaniyo may

darr se ay baba sehme thay bache

chaaya huwa tha har soo dhuan

ay mere baba ay mere baba

bali sakina ki thi ye...


jal gaye qaime chin gayi chadar

lut gaye jab ke asbaab saare

khaak pe jaa kar baithi thi maayein

soye thay bache maa ke sahare

ghurbat thi aur thi kuch siskiyan

ay mere baba ay mere baba

bali sakina ki thi ye...


maare tamache shimr e layeen ne

jis se hai mere ruqsaar neele

baad uske baba boondo ko mere

kuch aise cheena tha us shaqi ne

kaano se dekho khoon hai rawan

ay mere baba ay mere baba

bali sakina ki thi ye...


tum hi batao ke koi bachi

aalam may hogi kya mere jaisi

chaar baras ki umr ho jiski

aisi yateema kab kisne dekhi

ye sin ho aur tooti phasliyan

ay mere baba ay mere baba

bali sakina ki thi ye...


qaid huwe jab ahle haram to

ek rassi thi aur baara galay thay

ek simt meri gardan bandhi thi

aur bibiyon ke shaane bandhe thay

dekho rasan ke hai ye nishan

ay mere baba ay mere baba

bali sakina ki thi ye....


aale mohamed darbariyon may

laaye gaye jab qaidi bana kar

phupiyan khadi thi chehre chipa kar

abid khade thay nazrein jhuka kar

hum par tha toota kohe giran

ay mere baba ay mere baba

bali sakina ki thi ye...


pyaas ki shiddat se ab to mere

saare badan mai raashe pade hai

saans bhi lena hai mera mushkil

halq may mere chaale pade hai

lagta hai ab hai honton pe jaan

ay mere baba ay mere baba

bali sakina ki thi ye...


moo rakh ke apna baba ke moo par

ay najm jab wo chup ho gayi thi

saari shikayat baba se kar ke

gham ki sataayi jab so gayi thi

phir na pukari wo neem jaan

ay mere baba ay mere baba

bali sakina ki thi ye...