Kanz e Aza

Aap Jab se Huwe

A noha for Shehzadi Fatima (s.a), written by Najam Azmi. Lyrics in Roman Urdu.

ya rasool allah

apni tanhaai mein zehra yaad karti hai tumhe


aap jab se huwe juda baba

fatema ka hai bus khuda baba


pehle amma ko khoya ab tumko

paas zahra ke kya bacha baba

aap jab se huwe juda...


aap ke baad guzre din aise

fatema aur nahi jafa baba

aap jab se huwe juda...


lakdiyan aag le ke aaya koi

aur jalaya tha dar mera baba

aap jab se huwe juda...


waasta aap ka diya maine

phir bhi zaalim nahi ruka baba

aap jab se huwe juda...


aap ke gham mein rona chaaha agar

mujhko rone nahi diya baba

aap jab se huwe juda...


har masayab ki inteha hai yehi

mera mohsin nahi raha baba

aap jab se huwe juda...


baad e mohsin samajh gayi hoo mai

karbala ki hai ibteda baba

aap jab se huwe juda...


nafs apna kaha jise tumne

uski khaatir kare dua baba

aap jab se huwe juda...


ab to milta nahi jawabe salaam

haal e hyder hai is tarha baba

aap jab se huwe juda...


naam lewa sahabiyo ne tere

haq bhi cheena yateem ka baba

aap jab se huwe juda...


najm o rehan par bhi kar do karam

hai ye zahra ki ilteja baba

aap jab se huwe juda...