Kanz e Aza

Aap ki Beti Nay Baba Madinay

A noha for Shehzadi Fatima (s.a). Lyrics in Roman Urdu.

Aap ki beti nay baba Madinay walo ka her ek sitam uthaya hai .


Sani)

Kabhi mara geya tamacho say kabhi darwaza gira ker zakhm gehra mujhay lagaya hai..


Antra)

Aap nay ruk kay jahan Aaya e Tatheer perhi Aur tazeem bhi ki

Mujh ko lagta hai jaisay umat nay ghar ka darwaza jala kay Aap ki yad ko jalaya hai ..


Antra)

Mujh pay jalta hua darwaza jis waqt gira Mu kay bal baba giri

Dar kay neechay thi aap ki beti jaltay darwazay say baba mujh ko Fiza nay aa bachaya hai..


Antra)

Hai yaqeen zer e lehad Ahmad e mursal roye aur tarpay hon gay

Lamha ek baap nay saha kaisay jis ghari Bint e Nabi ka kalma goyon nay ghar jalaya hai .


Antra)

Tazeyana meray bazu pay jis waqt laga Karbala yaad aae

Mujh ko mehsoos aisay honay laga jaisay Abbas kay bazu kaat kay zeen say giraya hai.


Antra)

Meray ronay say pareshaan madinay walay mujh ko ronay na diya

Shehar say door meray ronay ko hakim e waqt nay Baba aik Bait ul Huzan banaya hai .


Antra)

Isi ek baat pay rotay zamanay walay dukh Samar hai is ka

Jis ko Khair ul Nisa kaha Rab nay jo Mohammad ka thi tukra us ko darbar main jhutlaya hai .


——————————URDU——————————