tar khoon se hai aap ki dastaar ya ali
sar par chali hai aap ke talwaar ya ali
zarbat lagi hai aisi ke rukta nahi lahoo
lagta hai jaise aap ne khoon se kiya wazoo
rukti nahi hai khoon ki raftaar ya ali
tar khoon se hai...
mehshar bapa hai kufe ki galiyon mein haye haye
shor o buka hai kufe ki galiyon mein haye haye
bewaon aur yateemon ke ghamkhwar ya ali
tar khoon se hai...
matam bapa hai aap ka arsh o zameen par
hai kayenat sog mein jibreel nauha gar
hai aap ka zamana azadaar ya ali
tar khoon se hai...
mehwe buka hai zainab e dilgeer ya ali
karte hai bain shabbar o shabbir ya ali
rota hai sar jhukaye alamdaar ya ali
tar khoon se hai...
ahle haram ke bain se larza hai aasman
abbas matami hai to kulsoom nauhakhan
karbobala hai aaj se tayyar ya ali
tar khoon se hai...
aati hai ye baqayya se awaaz e fatema
bachon ke sar par aap ka saaya nahi raha
larzi e ahmed e mukhtaar ya ali
tar khoon se hai...
farshe aza bicha hai hua matame ali
safar hua jahan mein barpa ghame ali
mehwe buka hai aap ke hubdaar ya ali
tar khoon se hai...