Kanz e Aza

Abbas ke Baba ki

A noha for Imam Ali (a.s), written by Hasnain Akbar. Lyrics in Roman Urdu.

masjid e kufa se lekar taaba khaake karbala

qatl sajdon mein hua hai mustafa ki aal ka


abbas ke baba ki jabeen khoon se tar hai

dooba hua gham mein bani hashim ka qamar hai


abbas ke chehre pe hai zainab ki nigahein

ye poochti ho jaise mera baba kidhar hai

abbas ke baba ki jabeen...


aa pahonchi hai zehra ki shahadat bhi ali tak

kufe pe bhi lagta hai madine ka asar hai

abbas ke baba ki jabeen...


kal beti pe barsenge inhi galiyon mein pathar

in galiyon se baba ke janaze ka guzar hai

abbas ke baba ki jabeen...


kis tarha se ab jeena hai ye poochlo zainab

kufe ke yateemon ko yateemi ki khabar hai

abbas ke baba ki jabeen...


naaqa pe liye jaate hai taboot ali ka

humraah e pidar aakhri beton ka safar hai

abbas ke baba ki jabeen...


phaila hua mabood hi ka khoon hai akbar

jis khoon se rangeen hua mabood ka ghar hai

abbas ke baba ki jabeen...