Kanz e Aza

Aeliya Hai Ali

A noha for Imam Ali (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

ali aeliya hai ali


wo faqre do aalam wo noore mujassam

ali haq ka mehrab ali dam hama dam

ali aulia hai ali aulia hai ali aeliya hai

ali aeliya hai ali...


wo haq ki taraf hai namazon ki saf hai

wo shaahe najaf hai wo deen ka sharaf hai

wo haajat rawa hai wo haajat rawa hai

ali aeliya hai ali...


ali raahe mushkil ali haq ki manzil

ali deen e kaamil ali shamme mehfil

khuda ki ataa hai khuda ki ataa hai

ali aeliya hai ali...


wo husne payambar wo mehwe munawar

shuja'at ka paikar wo fattahe khyber

shahe la fata hai shahe la fata hai

ali aeliya hai ali...


ali mera qibla ali mera kaaba

ali mera maula ali mera aaqa

wo mushkil kusha hai wo mushkil kusha hai

ali aeliya hai ali...


wo shabbir o shabbar chale peet'te sar

uthi binte hyder giri sar se chadar

haram berida hai haram berida hai

ali aeliya hai ali...