aflaak pe rone ki matam ki sada jaye
mohtaj hai ye dunya dunya tumhe kya degi
shabbir ki madar hi bas tum ko dua degi
shabbir ka hai gham ye sauda na kiya jaye
aflaak pe rone ki...
matam hai shahe deen ka aaye hai ambiya bhi
mushkil kusha ke hamraah aaye hai mustufa bhi
matam ke taqaddus ko malhooz rakha jaye
aflaak pe rone ki...
rumaal fatema ka phir payenge ye aansu
taskeen e dil e zehra ban jayenge ye aansu
ashkon ke samandar ka nazrana diya jaye
aflaak pe rone ki...
dar pesh aayi mushkil sabr o rahe wafa mein
islam gir raha tha maidan e karbala mein
abbas ne kaha jab haaton ko diya jaye
aflaak pe rone ki...
zainab ki fatema ki kulsoom ki sada hai
sabir dil e hazeen ki masoom ki sada hai
shabbir ka hai matam jee bhar ke kiya jaye
aflaak pe rone ki...
aankhon se ashk jaari seeno se lahoo jaari
shabbir ke matam mein maut aaye to hai pyari
matam pe harf aaye to sar bhi diya jaye
aflaak pe rone ki...
maqtal mein sar kataye ansar sab sidhare
mayyat jawan ki hai shabbir hai akele
laasha ali akbar ka kis tarha utha jaye
aflaak pe rone ki...
hal min ki ek sada ne maidan mein usko laaya
gardan pe teer kha kar asghar ne muskuraya
pursa ali asghar ka zehra ko diya jaye
aflaak pe rone ki...
dil chod aaye ghazi pehlu e sakina mein
abbas sar jhukaye hai nehre alqama mein
pyaso ko kis tarha se sehraab kiya jaye
aflaak pe rone ki...
mazloom ke nauhe ko ro ro ke padha jaye
shabbir ki madar ko pursa yun diya jaye
iqbal sheh ka nauha ashkon se likha jaye
aflaak pe rone ki...