Kanz e Aza

Islam Ko Bacha Gayi

A noha for Umme Kulsoom (s.a), written by Iqbal Abedi. Lyrics in Roman Urdu.

islam ko bacha gayi kulsoom fatema

zainab ke saath saath thi kulsoom fatema


aansu qalam ki nok par gham sheh ka rote hai

nok e sina pe dekhi thi kulsoom fatema

zainab ke saath saath...


wo sansanata teer wo baysheer ka gala

dekhi behan ka haal bhi kulsoom fatema

zainab ke saath saath...


akbar ke baad baithi na saaye mein phir kabhi

laila kaleja thaam li kulsoom fatema

zainab ke saath saath...


pamaal gulbadan hua bhai ke saamne

bewa ko saath le gayi kulsoom fatema

zainab ke saath saath...


maqtal ho ya ke kufa ho zindan e shaam mein

shabbir ki behan wo thi kulsoom fatema

zainab ke saath saath...


allah jaane kaise saha hai rabaab ne

asghar ke gham mein mar gayi kulsoom fatema

zainab ke saath saath...


nana ka baba jaan ka bhai ka gham liye

poocho kahan kahan gayi kulsoom fatema

zainab ke saath saath...


sar par wo khaak udaati hai iqbal aandhiyan

saber duhaai deti hai kulsoom fatema

zainab ke saath saath...