Umme kulsoom kehti thi rokar, Ham ko dar dar phiraate hai zaalim
Koi baaqi nahi hai jo sar par, Ham ko dar dar phiraate hai zaalim
Aao abbas e ghaazi kaha ho, Aao haalat behan ki dekho
Jald aao bachaao beradar
Ham ko dar dar phiraate hai zaalim
Aake bhaabi ko gham se chudhaao, Zaalimo ko ab aakar daraao
Tum kaha ho mere laal akbar
Ham ko dar dar phiraate hai zaalim
Beqata humko qaidi banakar, Cheen kar farqe at'har se chadar
Bhai ka sar sina par chadha kar
Ham ko dar dar phiraate hai zaalim
Kabhi bazaar me hum khade hai, Kabhi darbaar me hum khade hai Aur sar par nahi koi chadar
Ham ko dar dar phiraate hai zaalim
Umme kulsoom ye kah rahi thi, Baandh kar sabke shaanou me rassi
Dil dukha kar sata kar rula kar
Ham ko dar dar phiraate hai zaalim
Koun tha jo madad karne aata, Puchne wala koi nahi tha
Keh rahi thi hassan sheh ki qwaahar
Ham ko dar dar phiraate hai zaalim