Farmati Hai Yeh Hazrat-e-Salma Jigar Figar
EK Roz Mere Khwab Me Aaye Falak Weqar
Chehra Tha Zard Ranj Se Aankhen Thi Aashkbar
Aamama Tha Gaale Me Padhi Sar Pe Thi Ghubar
Maine Kaha Tadhap Ke Aaye Sultan-e-Ambiyan
Yeh Haal Kaisa Apne Apna Bana Liya
Kaisi Padhi Howi Hai Yeh Chehre Pe Khakh-o-Dhool
Hathou Se Muh Ku Peet Ke khene Lage Rasool
Umme Salma Hussain Maragaya
Kund Kanjar Se Sar Utara Gaya
1.Aaraha Hu Zameen-e-Karbal Se
Chain Sabro Kharar Saara Gaya
2.Jisse Roushan Thi Meri Binayi
Meri Aakhou Ka Wo Sitara Gaya
3.Rota Zehra Ku Chodh Aaya Hu
Mujhse Dekha Na Wo Nazara Gaya
4.Teen Din Ka Wo Bhuka Pyasa Tha
Jis Ghadi Tan Se Sar Utara Gaya
5.Jisku Apni Zuban Chusata Tha
Pyasa Duniya Se Wo Dulara Gaya
6.Meri Bachi Ghar Gowa Barbat
Aaye Musalmano Kya Tumhara Gaya
7.Sau Jaaga Se Jo Chakh Tha Kurta
Khech Kar Jism Se Utara Gaya
8.Teer Se Bhi Jo Khath Me Chota Tha
Muskurata Howa Wo Pyara Gaya