Kanz e Aza

Wa Hussaina

A noha for Imam Hussain (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

qalbe zehra ka hai marham

wa hussaina wa hussaina


ye ibadat se nahi kam

wa hussaina wa hussaina


aankh ho gham mein ye purnam

dam bhi nikle to nahi gham

ye ibadat se nahi kam

wa hussaina…


aaj har dil ki sada hai

majlise aale aba hai

kaise hoga kabhi ye kam

wa hussaina…


gham mein doobe hai payambar

rote hai haider e safdar

berida hote hai mehram

wa hussaina…


kehte hai shaah e madina

chid gayi mashk e sakina

dekho abbas ka parcham

wa hussaina…


pyase bachon ki sada hai

ammu kya hum se khafa hai

margaye shaah e zaman hum

wa hussaina…


ali akbar ka hai matam

ali asghar ka hai matam

hai bahattar ka ye matam

wa hussaina…


matame shaahe huda hai

matame ahle wafa hai

hai ye bemaar ka matam

wa hussaina…


dekho roti hai sakina

jaan khoti hai sakina

qaid mein niklega kya dam

wa hussaina…


kaise jee paungi baba

mar gayi bali sakina

ab na zinda rahenge hum

wa hussaina…


reh gayi fatema sughra

kehti hai fatema zehra

dil ki dhadkan mein hai har dam

wa hussaina…