wa hussaina wa hussaina
wa hussaina wa hussaina
aisi ghurbat bhi kahi'n hai
sar pa ab koi nahi hai
ye yateemo'n ki sada hai
wa hussaina wa hussaina
kaisi aafat ki ghadi hai
sar ko maa peet rahi hai
fatima ki ye sada hai
wa hussaina wa hussaina
karbala me hai qayamat
kaisi hai dhoop ki shiddat
jalti ab karbobala hai
wa hussaina wa hussaina
humko ghazi ki qasam hai
humko sarwar ki qasam hai
kehta har ahle aza hai
wa hussaina wa hussaina
jaane hyder teri jaa'n hai
ashk aankhon se rawa'n hai
sunke dil kaanp gaya hai
wa hussaina wa hussaina
bus ye zehra ka karam hai
sar pe saqqa e haram hai
nouha dawar ne likha hai
wa hussaina wa hussaina