Kanz e Aza

Wafa Shanas Nahi

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Salamat Feroz. Lyrics in Roman Urdu.

wafa shanas nahi rabb e wafa hai abbas

dua e zahra ka anmol sila hai abbas


ye koi zainab o kulsoom ke dil se pooche

ye un ke waaste is dehr mein kya hai abbas

wafa shanas nahi...


sina ki nok pe tatheer nazar aane lagi

kata ke baazu junhi ran mein gira hai abbas

wafa shanas nahi...


jabeen e maadar e hasnain ke sajdon ke tufail

ali ki betiyon ko naaz mila hai abbas

wafa shanas nahi...


kyun chalte chalte qadam ruk gaye hai zainab ke

kya is ko noke sina pe nahi dikha hai abbas

wafa shanas nahi...


wo kyun na iski zindagi ki duayein maange

badi muraadon se zainab ko mila hai abbas

wafa shanas nahi...


tu apni doobti nafzon ko to sambhal zara

faraat teri taraf aaj badha hai abbas

wafa shanas nahi...


duayein maang salamat usi ke sadqe mein

zara to soch ke zahra ki dua hai abbas

wafa shanas nahi...