Kanz e Aza

Matami

A noha written by Salamat Feroz. Lyrics in Roman Urdu.

haya ala qairil amal


ye matami jo rehte hai har waqt ashk baar

na bhoole hai ye bazaar na bhoole darbaar


palkon ka jhapakna hi jinka karna ho matam

kya matam e zanjeer ho kya matam e talwaar

ye matami jo...


kaise wo isay chod de ke jin ki jahan mein

matam ki sadaon se chale saans ki raftaar

ye matami jo...


takbeer uthe haath jhuke dil se hai sajda

ye aise namazi hai ye zehra ke azadaar

ye matami jo...


naam e hussain se wo juda ho nahi sakte

gardan juda jo tan se ho karwane ko tayyar

ye matami jo...


maalik ki mashiyat ki hai takhleeq ye insan

zehra ki mashiyat ki hai takhleeq ye azadaar

ye matami jo...