Ummul Baneen ne ki jahan se qaza hai aj, Shabbir ke ghumqaar ko sadma mila hai aj.
Shabbir ki woh ghumqaar jahan se guzar gayi, Phir ghar mein Ahlebait ke ghum ki fiza hai aj.
Dadi ko rote hain bimaare Karbala, Abbase namdaar ki maa ki qaza hai aj.
Roti thi rozo shab jo Moula Hussain ko, Duniya se haye isne parda kiya hai aj.
Rote hain sar ko peet ke farzande bawafa, Aale Nabi ke ghar se janaza chala hai aj.
Ummul Baneen ka pursa dene Hussain ko, 'Abid Ali' ne dekhiye nouha likha hai aj...