Kanz e Aza

Akbare Jawan

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Iqbal Abedi. Lyrics in Roman Urdu.

laila ki jaan sheh ke pisar akbar e jawan


zehra ne jo basayi thi basti ujad gayi

soona sa hogaya hai jahan akbar e jawan

laila ki jaan...


parda jo qaimagah se uth'ta tha baar baar

kya dil qaraash tha wo samaan akbar e jawan

laila ki jaan...


chehra tera ay laal in aankhon mein reh gaya

tujh par ay laal roti hai maa akbar e jawan

laila ki jaan...


seena figaar hogaya barchi ki nok se

tum par ye ro raha hai jahan akbar e jawan

laila ki jaan...


ya rab kisi bhi baap ko ye din na dikhaye

ek khoon bhari ho laashe jawan akbar e jawan

laila ki jaan...


dekho khaleel aap bhi manzar ye khoon bhara

sarwar uthaye laashe jawan akbar e jawan

laila ki jaan...


kis dil se mayyat laaye hai kadiyal jawan ki

dar par khadi hai aap ki maa akbar e jawan

laila ki jaan...


sabir jahan se deen ka akbar guzar gaya

iqbal ro raha hai yahan akbar e jawan

laila ki jaan...