gham pe gham sughra ko tadpate rahe
ghash pe ghash bemaar ko aate rahe
karbala ka haal zainab ka bayaan
ashk sughra ke huwe us dam rawan
lut chuka bibi hamara kaarwan
gham pe gham sughra ko tadpate rahe
gham pe gham...
ran mein godhi ke pale bhi reh gaye
har koi raahe khuda mein jaa chuke
saath ab aun o mohamed na rahe
gham pe gham sughra ko tadpate rahe
gham pe gham...
baand kar sehra gaye ibne hassan
hogaye pamaal ran mein gul badan
ashqiyan ghodon ko daudaate rahe
gham pe gham sughra ko tadpate rahe
gham pe gham...
khogaya baysheer ek tashna dahan
saath aa na paaye wo shireen sukhan
jal chuka zehra ka ghar jaane chaman
gham pe gham sughra ko tadpate rahe
gham pe gham...
nehr par pahunche jo saqqa e haram
hogaye abbas ke baazu qalam
hogaye jab berida sughra bhi hum
gham pe gham sughra ko tadpate rahe
gham pe gham...
thokare shabbir wo khaate rahe
kya kahun qaime se jab akbar gaye
laasha e akbar pe sarwar gir pade
gham pe gham sughra ko tadpate rahe
gham pe gham...
shaah e deen ke waaste maqtal saja
sajda e aakhar mein unk sar kata
aagayi maqtal mein roti fatema
gham pe gham sughra ko tadpate rahe
gham pe gham...
bekason par chaayi thi shaam e alam
padte hai saber jo nauha dam ba dam
aaj hai iqbal pe sheh ka karam
gham pe gham sughra ko tadpate rahe
gham pe gham...