Kanz e Aza

Akbare Kadiyal Jawan

A noha for Ali Akbar (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

akbar-e-kadiyal jawan, akbar-e-kadiyal jawan

seene pe akbar ne jab zulm ki khaayi sina

har taraf chaayi hui gham ki thi tareekiyan

kehti thi sar peet kar is tarha maqtal mein maa

akbar-e-kadiyal jawan...


kaise hue beta tum aankhon se meri nihaa

kaise pura shoab mein maa tumhe dhoonde kahan

tum hi do awaaz ho ali akbar jahan

akbar-e-kadiyal jawan...


algharaz pahunchay wahan thokare khaate hussain

khoon mein dooba hua aaya nazar noore ayn kehke zameen par giray haaye mere dil ke chain

akbar-e-kadiyal jawan...


dekha ke seene se hai khoon ka darya rawan

dard se noor e nazar khaak pa hai neem jaan

khaynchli dil thaam ke seene se sheh ne sina

akbar-e-kadiyal jawan...


laashaye akbar na jab shahe huda se utha

rukh kiya suye najaf aaiye mushkil kusha

kaise pura shoab mein dekhiye mai lut gaya

akbar-e-kadiyal jawan...


sadke ho tum par ye maa aankhein to kholo zara

sadke ho tum par ye maa moo se to bolo zara

sadke ho tum par ye maa zakhm to dholo zara

akbar-e-kadiyal jawan...