AKBER TERA CHEHLM HOTA HAI
Laila Ne Tadhap Kw Di Yeh Sada Akber Tera Chehlum Hota Hai
Zinda Hu Main Rone Ku Beta Akber Tera Chehlum Hota Hai
1.Main Shaam Ke Zinadan Se Chodh Kar Chehlum Ke Liye Aayi Dilbar
Gurbat Me Hai Ahmed Ka Kunba Akber Tera Chehlum Hota Hai
2.Arman Tha Teri Shadi Ka Aye Laal Wo Dil Dafan Howa
Main Kisse Karu Khismat Ka Gila Akber Tera Chehlum Hota Hai
3.Bazarou Me Jaakar Aayi Hu Darbarou Me Jaakar Aayi Hu
Main Kisku Sunou Haal Mera Akber Tera Chehlum Hota Hai
4.Suchi Thi Basaungi Basti Dulhan Teri Beta Laungi
Arman Mera Meethi Me Mila Akber Tera Chehlum Hota Hai
5.Ab Phoolou Ki Chadar Kasie Chadhe Markhad Pe Teri Aaye Laal Mere
Majboor Hai Teri Main Beta Akber Tera Chehlum Hota Hai
6.Mehmil Se Giri Jab Binte Ali Markhad Pe Baradar Ki Aaye Razi
Tharayi Zameen-e-Karbobala Akber Tera Chehlum Hota Hai