Kanz e Aza

Akela Hai Hussain

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Arsalan Azmi. Lyrics in Roman Urdu.

jab girne laga jab hazrat e abbas ka parcham

ro ro ke sada dene lage ye shahe aalam

laut aao mere bhai khudara palat aao

kuch ho gaya agar tumko to mar jayenge phir hum


waasta deta hoon sakina ka tumhe

laut kar qaimon mein aa jao akela hai hussain


haath ko jod ke ab tumko bulaata hai hussain

laut aao hamay maloom hai tum ho zakhmi

ab sakina bhi nahi maangegi tum se pani

waasta deta hoon sakina ka tumhe

tum bulao to tumhe lene ko aata hai hussain

haye abbas haye abbas haye abbas haye abbas


ghayr kar qatl na kar de ye tumhe fauje yazid

jab talak zinda ho baaqi hai hamari ummeed

waasta deta hoon sakina ka tumhe

ay mere bhai tumhe khone se darta hai hussain

haye abbas haye abbas...


aaj jee bhar ke tumhe dekha nahi hai maine

aaj baazu bhi tera chooma nahi hai maine

waasta deta hoon abbas sakina ka tumhe

aao seene se tumhe apne lagata hai hussain

haye abbas haye abbas...


bhai kyun dil ko mere tod diya hai tum ne

mujhko marne ke liye chod diya hai tum ne

waasta deta hoon abbas sakina ka tumhe

ab judaai ko teri seh nahi sakta hai hussain

haye abbas haye abbas...


bhai hum dono ka bachpan se ajab hai rishta

door mai bhi nahi tu bhi nahi reh sakta tha

waasta deta hoon abbas sakina ka tumhe

jaanta hoon ke tere dil mein dhadakta hai hussain

haye abbas haye abbas...


tum gaye jab se tabiyat meri ghabrati hai

theek se bhai mujhe saans nahi aati hai

waasta deta hoon abbas sakina ka tumhe

bin tumhare badi mushkil se hi zinda hai hussain

haye abbas haye abbas...


aise azlaan ko zawwar bana lo maula

jeete jee mujhe rauze pe bula lo maula

waasta deta hoon abbas sakina ka tumhe

tumse maango to dua ko meri sunta hai hussain

haye abbas haye abbas...