aina aina ali akbar
haye akbar haye akbar
ay naujawan ay naujawan
awaaz do ay ali akbar awaaz do
jaati hai meri jaan
maqtal mein hai dhuaan
beta ho tum kahan
maara hai kis tarha se tumhe sochta hoon mai
patthar hata hata ke tumhe dhoondta hoon mai
chaaron taraf hai khoon milta nahi sukoon
laashon ke darmiyan
awaaz do ay ali akbar...
kuch bhi dikhayi deta nahi mai ghareeb hoon
khushboo se lag raha hai tumhare khareeb hoon
ay mere dil ke chain baba ke noore ain
ab lo na imtehan
awaaz do ay ali akbar...
maine suna hai ghode se tum khud nahi gire
ay mere laal baalon se khayncha gaya tumhe
tum ho yahin kahin kyun bolte nahi
khamosh hai zuban
awaaz do ay ali akbar...
kaise gire ho mujhko batao to zeen se
lagta hai tumne khaayi hai barchi layeen se
chehra bhi zard hai seene mein dard hai
kuch to karo bayan
awaaz do ay ali akbar...
maqtal mein aate aate bhi maara gaya mujhe
dooba hua hoon khoon mein patthar ke zakhm se
zakhmi hai ye jigar dekho mere pisar
chehre pe hai nishan
awaaz do ay ali akbar...
himmat karo zara si kaleje ko thaam kar
hai waqte asr jaago mere naujawan pisar
laila ki aas hai zainab udaas hai
do aakhri azaan
awaaz do ay ali akbar...
tum khud ali ho beta zara hausla karo
badhne laga hai dard to nade ali padho
aankhein hai meri nam sughra ki hai qasam
ragdo na aediyan
awaaz do ay ali akbar...
do maa'on ne jawan kiya tum ko paal kar
qaimon mein jaa ke kaise milaunga mai nazar
mai unse kya kahun behta hai tera khoon
kaise sahegi maa
awaaz do ay ali akbar...
azlaan ro ke kehta raha ye mera imam
beta hamare haal pe hasti hai fauje shaam
dhundhla hai sab jahan hai surkh aasman
chalti hai aandhiyan
awaaz do ay ali akbar...