akbar akbar haye akbar
akbar mera sehriyan waala akbar
ay akbar ye sehra sajane ke din thay
kahan teri mayyat uthane ke din thay
wo galiyan jahan tera bachpan hai guzra
jahan dekhte hai sabhi tera rasta
wahin laut ke ab to jaane ke din thay
ay akbar ye sehra...
hai baithi hui dar pe bemaar sughra
tujhe lene aaunga tha jis se waada
behen ko watan se bulane ke din thay
ay akbar ye sehra...
tujhe naaz se aise paala phupi ne
duayein tujhe di hai khud zindagi ne
nigahon may tujhko basane ke din thay
ay akbar ye sehra...
shahe deen ye laashe pe kehte hai ro kar
sukoon kaise paaye bhala qalb e muztar
sahara tera ab to paane ke din thay
ay akbar ye sehra...
har ek subha maadar ne jab tujhko dekha
utaari nazar tera sadqa utaara
ay beta ye mannat badhane ke din thay
ay akbar ye sehra...
tadapte huwe keh rahi hai ye maadar
mere naujawan ay mere laal akbar
kaleje se tujhko lagane ke din thay
ay akbar ye sehra...
tha izhaar aur shadman gham ka manzar
lipat kar jo laashe se kehti thi maadar
ye naushaah tujhko banane ke din thay
ay akbar ye sehra...