ay godiyon ke paale laila ke dil ki dhaaras
islam ki tajalli emaan ke ujaale
bujhti hui jawani ye bhool jaane waale
kaise samajh sakegi wo maut ke ishare
ay godiyon ke paale...
parda pada hua hai kis tarha maa pukare
ay maut ki nazar se aakhein ladane waale
ay godiyon ke paale...
ujde huwe chaman ki khilti kali hai akbar
har saans keh rahi hai tum zindagi ho akbar
ay godiyon ke paale...
ay noor e chasm e laila taqdeer ke ujale
ruqsat ka dil par gham ha akbar salaam le lo
ye aakhri alam hai akbar salaam le lo
ay godiyon ke paale...
jaati hui ada hai ab khatm hai ye naale
hai qaum tum par sadqe jibraeel ke dulaare
ay godiyon ke paale...
islam ke sahare emaan ke shaahzade
ye roshni ata ki athara saal waale
ay godiyon ke paale...