Kanz e Aza

Ay Karbala Ay Karbala

A noha written by Gohar Jarchvi. Lyrics in Roman Urdu.

ay karbala ay karbala


qatl hui aal e nabi ghar ujad gaya

haye tere samne darya ke kinare

pyase rahe saaqi e kausar ke dulaare

khaak mein posheeda huwe arsh ke taare

rooth gaye zainab e muztar ke sahare

ay karbala ay karbala...


sibt e rasool e do sara qatl ho gaya

ay karbala ay karbala...


maa ko tha armaan bohat shaadi ka jiski

raat ko jiski sar e maqtal hui shaadi

subha ko maara gaya wo sher e jari bhi

shab ko bani thi jo dulhan bewa ho gayi

ay karbala ay karbala...


dasht mein pamaal huwa dulha ka laasha

ay karbala ay karbala...


qatl hui aal e nabi ghar ujad gaya

ay karbala ay karbala...


parcham e abbas e jari khoon mein dooba

kat gaye us sher ke baazu lab e darya

pyasa hi maara gaya saqqa e sakina

toot gayi sheh ki kamar wa musibata

ay karbala ay karbala...


sheh ne kaha haye mera sher mar gaya

ay karbala ay karbala...


zakhmi hua akbar e zee jaah ka seena

barchiyan paywast hui gad gaya naiza

koi bhi us waqt madadgaar nahi tha

baap ne khud bete ke laashe ko uthaya

ay karbala ay karbala...


haye kisi ne na diya sheh ko sahara

ay karbala ay karbala...


qatl hui aal e nabi ghar ujad gaya

ay karbala ay karbala...


lori ye raaton ko jise sunaati thi ye maa

godh ke jhoole mein jhulaati thi jise maa

dulha tasavvur mein banaati thi jise maa

sher e jari keh ke bulaati thi jise maa

ay karbala ay karbala...


maa se juda haye wo shehzada ho gaya

ay karbala ay karbala...


qatl hui aal e nabi ghar ujad gaya

ay karbala ay karbala...


hashmi sheron ka lahoo beh gaya ran mein

lut gayi kaunain ki shehzadiyan ban mein

aag lagayi gayi zehra ke chaman mein

jakda gaya haye yateemon ko rasan mein

ay karbala ay karbala...


kitne huwe zulm o sitam is qadar jafa

ay karbala ay karbala...


qatl hui aal e nabi ghar ujad gaya

ay karbala ay karbala...


aaj bhi hai waqt ke gohar yehi naale

raakh huwe jal gaye sadaat ke qaime

maare gaye bali sakina ke tamache

qaid huwe syed e kaunain ke pyare

ay karbala ay karbala...


ho gayi maqtal mein nabi zaadi be rida

ay karbala ay karbala...


qatl hui aal e nabi ghar ujad gaya

ay karbala ay karbala...