Kanz e Aza

Ay Khaake Karbala

A noha written by Abid. Lyrics in Roman Urdu.

ay khaake karbala tu har khaak se juda hai

shabbir ka kafan hai zainab ki tu rida hai


hai kalmago se afzal kitna maqam tera

danagaah e shifa hai dunya mein naam tera

tu sheh ke khoon mein tar wo deen se juda hai

ay khaake karbala tu...


seene pe teri likhi hai daastan unki

shimre layeen ke sheh par dhaaye gaye sitam ki

maa aayi hai lehad se aur uska haal kya hai

ay khaake karbala tu...


beti ne fatema ki rakhe qadam hai tujh par

pehre pe aayi ban kar wo hoo bahoo dilawar

jo kuch kiya hai bas wo zainab ka hausla hai

ay khaake karbala tu...


kidmat mein sheh ki hurr ka aana to yaad hoga

maqtal mein uska pehle jaana to yaad hoga

iska sila yaqeenan roomal e fatema hai

ay khaake karbala tu...


akbar ke dil pe barchi tu hai gawaah uski

qaima e shaahe deen mein ghash maa ki aah uski

lagta tha umme laila khud aap se khafa se

ay khaake karbala tu...


tujhpe ay khaak baitha sar ko jhukaye qaidi

aankhon ko apne khoon ka darya banaye qaidi

kaandhon pe jiske haye kul wazn e karbala hai

ay khaake karbala tu...


abid hussainyo ka ye khaak aasman hai

sajdon mein lehad mein ye un sab ki nigehban hai

dar asl noor e zaahir ye khaak e karbala hai

ay khaake karbala tu...