ay maariya ay nainawa ay dashte karbala
ye kya hua ay karbala ye kya hua ay karbala
akbar diya asghar diya hamshakle payambar diya
wo saani e jafar diya har ek naamwar diya
ummat ki khaatir shaah ne ek ek se bad kar diya
ay maariya ay nainawa...
aun o mohamed se haseen akbar sa wo maahe jabeen
wo haami e deen e mubeen raunaq e islam e deen
abbas sa kadiyal jawan abbas sa yawar diya
ay maariya ay nainawa...
ek naunehal e panjetan tha asghar e ghuncha dahan
cheh maah ka nazuk badan masoom aur tashan dahan
hum aasiyon ke waaste is ka bhi sheh ne sar diya
ay maariya ay nainawa...
katwa diya hai bhai ko abbas se dildaar ko
shabbir se ghamkhwar ko lutwa diya ghar baar ko
deen e khuda ke waaste shabbir ne sar de diya
ay maariya ay nainawa...
teer o sina khaaye hussain gardan ko katwaye hussain
khud khoon mein nahaye hussain ummat ko bakshwaye hussain
hum sab ki khaatir shaah ne har shay ko sadqe kar diya
ay maariya ay nainawa...