Kanz e Aza

Ay Maarkae Quwwate

A noha for Ali Asghar (a.s), written by Najm Afandi. Lyrics in Roman Urdu.

ay maarka e quwwate islam ke jauhar

cheh maah ki muddat mein qayamat ke barabar

nanhe se mujahid ali asghar ali asghar


maqsad tha wiladat ka faqat kaar e shahadat

ye baat hui aur kisi ko na meinassar

yakta hai teri khoon mein doobi hui tasveer

tareekh dikhati nahi aisa koi manzar

nanhe se mujahid ali asghar...


baba ke sab andaaz hai dada ke tareekhe

neend aa gayi reti pe na takiya hai na bistar

uljhe hua baalon pa fida shaam e shab e gham

doobi hui nafson pa sitaron ki nichawar

nanhe se mujahid ali asghar...


dhalki hui gardan pe yadullah ke bosay

sookhe hue honton pe tasadduq lab e kausar

chitwan mein chipaye hue akbar ki jawani

mutthi mein dabaye hue sajjad ke jauhar

nanhe se mujahid ali asghar...


aankhon mein chalakta hua masoom tabassum

gardan se tapakta hua khoon e dil e maadar

tareekh mein hai sab tere bachpan ka saleeka

tu maut ki aagosh mein aaya tha humak kar

nanhe se mujahid ali asghar...


jis waqt hui mohar tere zakhm e gulu ki

poora hua shabbir ke eesaar ka daftar

aaram se so ay shab e ashoor ke jaage

lori tujhe deta hai tere najm e sukhanwar

nanhe se mujahid ali asghar...