ay mere dil o jaan ali asghar ali asghar
maa tujhpe ho qurban ali asghar ali asghar
deti mai kafan tujhko rida sar pe jo hoti
mil jaata ta jo pani to tere zakhm ko dhoti
hoon be-sar o saaman ali asghar ali asghar
ay mere dil o jaan...
dekho to sare shaam e ghariban meri ghurbat
jhulsa hua jhoola hai to ujdi hui turbat
ujda hai gulistan ali asghar ali asghar
ay mere dil o jaan...
nauhon ki sadaon mein badal bhi chuki lori
jhoola hi salaamat hai na ab jhoole ki dori
godhi bhi hai veeran ali asghar ali asghar
ay mere dil o jaan...
wo need se aur dhoop se jalti hui aankein
yaad aati hai wo ashk ugalti hui aankhein
mamta hai pareshan ali asghar ali asghar
ay mere dil o jaan...
jis teer ne chedi thi teri phool si gardan
maa kaise batayein bhala us teer ki uljhan
seene mein hai paikaan ali asghar ali asghar
ay mere dil o jaan...
hasrat thi ke baandhun mai tere maathe pe mai sehra
aur sehre mein dekhun tera hasta hua chehra
ujde mere armaan ali asghar ali asghar
ay mere dil o jaan...
aa baandhun tere nanhe se sar par mai amaama
aur choomun tera phool sa moo chand sa maatha
haste huwe quran ali asghar ali asghar
ay mere dil o jaan...
bas rayt hai maqtal ki na takiya na bichona
ab hashr talak tujh ko isi ban mein hai sona
maa jaati hai zindan ali asghar ali asghar
ay mere dil o jaan...
tha shaam e ghariban ka dhuaan aamir o nayyar
khaak ujde huwe jhoole ki bikhri thi jahan par
kehti thi wahin maa ali asghar ali asghar
ay mere dil o jaan...