Kanz e Aza

Ay Mere Naazon ke

A noha for Ali Asghar (a.s), written by Abid. Lyrics in Roman Urdu.

ay mere naazon ke paale khaak udaane ke liye

chod kar apni lehad maa karbala jayegi


kund khanjar se teri sheh rag bachane ke liye

chod kar apni lehad maa karbala jayegi


saath tere kaun hoga ek bas umme rabab

tere rukh par ek chullu khoon ka hoga hijaab

qabre asghar pusht e qaima par banane ke liye

chod kar apni lehad...

ay mere naazon ke...


haye suraj chupa chuka ho dhal chuka ho shab mein shaam

roz e ashoora qayamat ho chuki ho iqtetaam

ek yateemi ko tere laashe pe laane ke liye

chod kar apni lehad...

ay mere naazon ke...


tera hamshakle payambar apna dil thaame huwe

khoon mein tar seene pe apne haath ko rakhe huwe

mil ke tere saath akbar ko uthaane ke liye

chod kar apni lehad...

ay mere naazon ke...


jayega abbas tera hurr ke istebaal ko

dar guzar kar dega tu mujrim ke sab aamaal ko

uske ek rumaal maathe par sajane ke liye

chod kar apni lehad...

ay mere naazon ke...


kya sitam dekhegi zainab teri khwahar pur malaal

ghurbate sajjad ki dega gawahi zuljalaal

kar ke himmat us ko sholon se bachane ke liye

chod kar apni lehad...

ay mere naazon ke...


boli abid maa jahan hogi teri majlis bapa

nauha o matam ki goonjegi kahin bhi jab sada

behte aansu apne daaman mein uthane ke liye

chod kar apni lehad...

ay mere naazon ke...