Kanz e Aza

Ay Mere Tashnadahan

A noha for Ali Asghar (a.s), written by Hassan. Lyrics in Roman Urdu.

tha ye bano ka bayan

ay mere tashna dahan


tum pe waari ho ye maa

ay mere tashna dahan


laash aayi na teri maidan se

reh gaye lab tere haye pyase

nanhi gardan pe chalaya paikaan

ay mere tashna dahan

tha ye bano ka bayan...


tera gehwara pada hai khaali

loriyan de ke sulaane waali

yaad mein teri tadapti hai ye maa

ay mere tashna dahan

tha ye bano ka bayan...


khaak mein khud ko mila kar ye kaha

raakh jhoole ki uda kar ye kaha

aise bikhre na kisi ke armaan

ay mere tashna dahan

tha ye bano ka bayan...


godh mein tujhko humakna tha abhi

ghutniyo chal ke chehekna tha abhi

thi ye chaahat tujhe dekhun mai jawan

ay mere tashna dahan

tha ye bano ka bayan...


kaise dekhun ay mere laal bata

nok e naiza pe tera sar beta

leke aada hai sar e raah rawan

ay mere tashna dahan

tha ye bano ka bayan...


dekh sughra ne likha hai khat mein

mar na jaaye wo kahin furqat mein

wo ye kehti hai ke asghar ho kahan

ay mere tashna dahan

tha ye bano ka bayan...


apni bakshish ki dua karta hoon

mai hassan us se wafa karta hoon

kat gayi khushk jo nanhi si zaban

ay mere tashna dahan

tha ye bano ka bayan...