khogaye ho tum kahan dhoondti madar
ay ali akbar mere ay ali akbar mere
kis tarha seh payegi gham tera khaahar
ay ali akbar mere…
zakm seene par laga aur jigar tak chid gaya
khoon se rangeen hai sar zameen e karbala
haat rakh lo zakm par aati hai maadar
ay ali akbar mere…
khogaye ho tum kahan...
aarzoo ye thi meri dekhun sehre ki ladi
haye qismat kya karun khoon mein mayyat bhari
sej phoolon ki kahan khaak ka bistar
ay ali akbar mere…
khogaye ho tum kahan...
ek sakina si behan shal hai kodon se badan
uf gulu mein baandne shimr laaya hai rasan
zulm ki hai inteha chin gaye gohar
ay ali akbar mere…
khogaye ho tum kahan...
mohsin o yawar nahi shaah ka lashkar nahi
so gaye abbas bhi godh mein asghar nahi
saykdo ranj o mehan aur ek sarwar
ay ali akbar mere…
khogaye ho tum kahan...
tauq ka aazaar hai abid e beemar hai
zainab o kulsoom aur shaam ka bazaar hai
baad tere ahle shar le gaye chadar
ay ali akbar mere…
khogaye ho tum kahan...
qaid se jab jaungi mai madine jaungi
poochegi sugra tumhe kya usay batlaungi
kis tarha seh payegi gham tera khwahar
ay ali akbar mere…
khogaye ho tum kahan...
ay shaheed e karbala ay shabihe mustufa
waasta hai aap ko shabbar o shabbir ka
ab hassan ki kuch khabar lijiye aa kar
ay ali akbar mere…
khogaye ho tum kahan...