chala jab khaafile ko leke suye koofa o shaam
mera mazloom imam
sar khule zainab e muztar thi aur tha majma e aam
mera mazloom imam
sar jhukaye hue yun chalte rahe shaahe umam
aur bad jaata tha ye dekh ke bemaar ka gham
berida thi phuphi aur shaam ka bazaar e aam
mera mazloom imam
chala jab khaafile…
baahon mein bediyan thi tauq galay mein tha pada
pushte bemaar ke haaton mein udoo ke durra
ghash kayi baar safar mein hue bemaar imam
mera mazloom imam
chala jab khaafile…
ro ro kehti thi sakina phupi ab kya hoga
jhoola jalne laga bhai bhi mera ran ko gaya
aag qaimon mein lagi jal gaya asbaab tamam
mera mazloom imam
chala jab khaafile…
laashe qasim ko sameinta shahe deen ne jis dum
mehendi haaton pe lagi dekh ke rote thay haram
rang ye sehre ki mili khaak mein kaisa tha sitam
mera mazloom imam
chala jab khaafile…
khoon tapakta hai hassan noke qalam se ab to
dil phata jaata hai is soz e alam se ab to
girya karte hai malak roke yehi subho shaam
mera mazloom imam
chala jab khaafile…