chala pyaase gale par kund khanjar
sada zainab ne di ye rabb e dawar
aye jaan e fatima o murtuza
huwe ghurbat me tum jo hamse juda
kaha zainab ne apna peet ke sar
sar e maqtal hai zehra ka dulara
hazaro'n hai'n adu shabbir tanha
hai ek mazloom, har janib sitamgar
akela ran me hai zehra ka pyaara
na koi saya na koi sahara
taras khata nahi koi bhi uspar
madad ka waqt hai abbas aao
utho darya se bhai ko bachao
na so yu'n chain se shaane kata kar
jo teri yaad me roye sakina
jo maqtal me tujhe dhoonde sakina
dilasa du'n usey akhir mai kyu'nkar
gire ghode se ran me ibne hyder
ali rote hain girya hai payambar
zibha karne ko jaate hai sitamgar
behan qaime me ab tum laut jao
abhi zinda hoo'n na aansu bahao
kaha sheh ne ye sar sajde me rakh kar
qayamat laayi hai shame gharibaa'n
haram ka ab nahi koi nighebaa'n
labo'n pe sab ke hai nouha ye anwar