Kanz e Aza

Dariya Pe Tadapne Laga Abbas ka Lasha

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Ata Abbas Jaipuri (2026). Lyrics in Roman Urdu.

Dariya Pe Tadapne Laga Abbas Ka Lasha


Jab Chhini Gayi Zainabo Kulsoom Ki Chadar

Dariya Pe Tadapne Laga Abbas Ka Lasha

Jis Waqt Alamdar Ki Behno Ka Khula Sar

Dariya Pe Tadapne Laga Abbas Ka Lasha

Wafadar Ka Lasha, Alamdar Ka Lasha

Dariya Pe Tadapne Laga Abbas Ka Lasha


Ghode Se Gire Dasht Mein Jab Sibt-e-Payambar,

Jab Shimr Chadha Seena-e-Shabbir Ke Upar.

Jis Waqt Chala Shah Ke Halkoom Pe Khanjar,

Dariya Pe Tadapne Laga Abbas Ka Lasha.

Jab Chhini Gayi Zainabo Kulsoom Ki Chadar

Dariya Pe Tadapne Laga Abbas Ka Lasha


Jab Fauj-e-Sitam Khema-e-Shabbir Tak Aayi,

Aur Aag Laeenon Ne Jo Khemon Mein Lagayi.

Jis Waqt Jala Abid-e-Beemar Ka Bistar,

Dariya Pe Tadapne Laga Abbas Ka Lasha.

Jab Chhini Gayi Zainabo Kulsoom Ki Chadar

Dariya Pe Tadapne Laga Abbas Ka Lasha


Jis Waqt Jala Aag Se Be-Sheer Ka Jhoola,

Hasrat Se Furaat Ki Taraf Maa Ne Jo Dekha.

Ghazi Ko Bulane Lagi Jab Madar-e-Asghar,

Dariya Pe Tadapne Laga Abbas Ka Lasha.

Jab Chhini Gayi Zainabo Kulsoom Ki Chadar

Dariya Pe Tadapne Laga Abbas Ka Lasha


Jis Waqt Badha Shimr-e-Laeen Soo-e-Sakina,

Maloon Ne Masoom Ko Mara Jo Tamacha.

Ghash Kha Ke Giri Khaak Pe Jab Shah Ki Dukhtar,

Dariya Pe Tadapne Laga Abbas Ka Lasha.

Jab Chhini Gayi Zainabo Kulsoom Ki Chadar

Dariya Pe Tadapne Laga Abbas Ka Lasha


Barsaye Yateema Pe Sitamgar Ne Jo Durre,

Kanon Ki Lawen Phaad Ke Chhine Hain Jo Bunde.

Kurta Bhi Sakina Ka Hua Khoon Se Jab Tar,

Dariya Pe Tadapne Laga Abbas Ka Lasha.

Jab Chhini Gayi Zainabo Kulsoom Ki Chadar

Dariya Pe Tadapne Laga Abbas Ka Lasha


Baithe The Sabhi Ahl-e-Haram Khaak Pe Jis Dam,

Kheme Ki Jali Chob Liye Haath Mein Us Dam.

Pehre Pe Nazar Aayi Jo Zainab-e-Muztar,

Dariya Pe Tadapne Laga Abbas Ka Lasha.

Jab Chhini Gayi Zainabo Kulsoom Ki Chadar

Dariya Pe Tadapne Laga Abbas Ka Lasha


Shanon Mein Rasan Aa Ke Laeenon Ne Jo Bandhi,

Jab Qaid Hui Haider-e-Karrar Ki Beti.

Royi Hai Behan Sher Ki Jab Sar Ko Jhuka Kar,

Dariya Pe Tadapne Laga Abbas Ka Lasha.

Jab Chhini Gayi Zainabo Kulsoom Ki Chadar

Dariya Pe Tadapne Laga Abbas Ka Lasha


Jis Waqt Ata ( Poet) Ahl-e-Haram Qaid Hue Hain,

Jab Aeliya (Reciter) Maqtal Se Laeen Leke Chale Hain.

Darmiyan Lashon Ke Maqtal Mein Khadi Thi Zainab,

Mud Ke Sahil Ki Taraf Dekh Rahi Thi Zainab.

Tha Hashr Bapa Dekh Ke Wo Dard Ka Manzar,

Dariya Pe Tadapne Laga Abbas Ka Lasha.

Jab Chhini Gayi Zainabo Kulsoom Ki Chadar

Dariya Pe Tadapne Laga Abbas Ka Lasha