Kanz e Aza

Darya Hai Abbas ka

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Mir Sajjad Mir. Lyrics in Roman Urdu.

abbas alamdar alamdare hussaini


hat jao shaamiyon hat jao kufiyon

mai ibne murtaza hoo mere naam hai abbas


saahil pe aamad e khalafe bu turab hai

dehshat se mauj mauj ka dil aab aab hai

kis pehar ka jalaal ghazab ka itaab hai

gayti ko zalzala hai ke matti kharaab hai

roohul ameen ko khuaf se wasvaas aate hai

wasvaas kyun na aaye ke abbas aate hai


ye darya hai abbas ka ye darya hai abbas ka

khud pani sadayein deta hai har khatra hai abbas ka

ye darya darya darya hai abbas ka


bhatke na koi ab saahil par ye saara ilaaka hai mera

ay ghasib e haq e zahra suno ye pani mehr hai zehra ka

mai teesra beta hoo unka ye virsa hai abbas ka

ye darya darya darya hai abbas ka

ye darya hai abbas ka...


ay shaamiyon tum mein hai hi nahi abbas se ladne ki himmat

is darya mein hi doob maro baaki hai agar thodi ghairat

atthara laakh nigahon mein kyun khatra hai abbas ka

ye darya darya darya hai abbas ka

ye darya hai abbas ka...


naara kiya wo rokne waale kahan gaye

tayghein wo kis taraf hai wo bhaale kahan gaye

lekar khat e shakast risaale kahan gaye

shimr o umar ki godh ke paale kahan gaye

zinda abhi hai ya pisar e saad mar gaya

khaali pada hai dasht ye khooli kidhar gaya


hat jao shaamiyon hat jao kufiyon

mai ibne murtaza hoo mere naam hai abbas

ye darya hai abbas ka...


sheh haan to kahe mai haakim ko uske hi mehal mein maarunga

ay shaamiyon shaam se pehle mai is shaam pe qabza kar lunga

ye baat nahi afsaano ki ye daawa hai abbas ka

ye darya darya darya hai abbas ka

ye darya hai abbas ka...


abbas itaa'at mein har dam psaband hai apne aaqa ka

pehle jo hata tha darya se wo hukm tha mere aaqa ka

ab hatna padega tum sab ko ye rasta hai abbas ka

ye darya hai abbas ka...


o shimr apni fauj ka andher dekh le

ek dam mein bismilon ke huwe dher dekh le

bhaage hai jis se sher wo shamsher dekh le

o bekhabar taraayi pe hai sher dekh le

ladte hai yun hi zabr jo aate hai baat par

ab hashr tak hai sher ka qabza faraat par

ye darya hai abbas ka...


talwaar to baahar aane do tum sab ki mai jurrat dekhunga

haan kis ka hai darya saahil par jis dam mai aakar poochunga

khud thodi dayr mein bologe abbas ka hai abbas ka

ye darya darya darya hai abbas ka

ye darya hai abbas ka...


mai khul ke agar hamla kar doon wo khoon ka darya darya mein

mai taygh yahan par khaynchunga aur shor uthega kufa mein

muslim se kahenge baba bhi ye hamla hai abbas ka

ye darya hai abbas ka...


saqqa e hussain sayyed o sardar na aamad

alamdar na aamad alamdar na aamad

ay ahle haram meer o alamdar na aamad

alamdar na aamad alamdar na aamad


naaqe se giraya hai khud ko ye keh ke ali ki beti ne

kulsoom se boli lagta hai abbas khada hai pehle se

ye khushboo hai chote bhai ki ye saaya hai abbas ka ya

ye darya hai abbas ka...


sajjad kaha usne ro kar ay jaan meri qasim utho

shahzade abhi tak pyase ho ammu ki qasam pani peelo

sairaab ho jee bhar ke beta ab qabza hai abbas ka

ye darya darya darya hai abbas ka

ye darya hai abbas ka...