Kanz e Aza

Dil Chota Mat Karo

A noha written by Mir Sajjad Mir. Lyrics in Roman Urdu.

dil chota mat karo wo bulayenge karbala

maula hussain sab ko dikhayenge karbala


sun kar areeza ghazi ne paigham hai diya

maula hussain sab ko dikhayenge karbala


fehrist mujhse maang rahe thay mere imam

likhwa diye hai maula ko tum sab ke maine naam

baaqi hai bas batool ki beti ka faisla

maula hussain sab ko dikhayenge karbala

dil chota mat karo...


ankhein tumhari sach hai ke pur aab hai bahot

wo khud bhi tumse milne ko betaab hai bahot

ek baar dekho dil se to de kar unhe sada

maula hussain sab ko dikhayenge karbala

dil chota mat karo...


ghaafil nahi kisi se bhi ibne abu turab

misle mujaab aayega har ek ka jawab

labbaik ya hussain ki dete raho sada

maula hussain sab ko dikhayenge karbala

dil chota mat karo...


jo reh gaya watan mein usay kehna gham na kar

khud pursa lene aayenge shabbir tere ghar

bas shaah se ziyarat e ashoor maangna

maula hussain sab ko dikhayenge karbala

dil chota mat karo...


kehna tum us se jis ne wasail ka tha kaha

tera to rizq shaah ne kab ka badha diya

le aaye apne bachon ko is saal karbala

maula hussain sab ko dikhayenge karbala

dil chota mat karo...


farzand e fatema ki badi bargaah hai

akbar ke baba jaan ki sab par nigaah hai

kab hai wahan pe farq ameer o ghareeb ka

maula hussain sab ko dikhayenge karbala

dil chota mat karo...


karbobala jo laa na saka waledain ko

wo jaanta nahi abhi aaqa hussain ko

roze pe unke aaye bina mar gaye to kya

maula hussain sab ko dikhayenge karbala

dil chota mat karo...


jo matami jawan hai akbar ke pursa daar

un sab ka khaas rehta hai maula ko intezar

maango jawano waasta de kar jawan ka

maula hussain sab ko dikhayenge karbala

dil chota mat karo...


paison se kaun kehte hai jaate hai karbala

aata hai bas wo jisko bulaate hai karbala

jis jis ne bhi yaqeen hai is baat par rakha

maula hussain sab ko dikhayenge karbala

dil chota mat karo...


nazdeek jab hussain ki turbat ke jaoge

niyyat karo sakina ki ghurbat sunaoge

sun'ne ko apni laadli beti ka marsiya

maula hussain sab ko dikhayenge karbala

dil chota mat karo...


kaise bayan ho sughra ki haalat ajeeb thi

bemaar apne ammu se aakar lipat gayi

sughra se ye tasalli mein abbas ne kaha

maula hussain sab ko dikhayenge karbala

dil chota mat karo...


abbas is ki baat ka rakh lena tum bharam

tere bharose chalta hai sajjad ka qalam

is ne to de diya hai zamane ko aasra

maula hussain sab ko dikhayenge karbala

dil chota mat karo...