Kanz e Aza

Dil ka Kaaba

A noha written by Ammar Rizvi. Lyrics in Roman Urdu.

makke mein kaaba meri jabeen ka

hai dil ka kaaba karbala mein


ay aab e zam zam ke peene walon

koi hai pyasa karbala mein


kyun hai baqqiya mein ye udaasi

rauza mohamed ka kyun hai khaali

bete ko rone baba ko lekar

aayi hai zehra karbala mein

makke mein kaaba...

hai dil ka kaaba...


bachon ko maa'ein jhoola jhula kar

batla rahi hai lori suna kar

dasvi moharam ko jal gaya tha

nanha sa jhoola karbala mein

makke mein kaaba...

hai dil ka kaaba...


jab mai madine se karbala ki

jaanib chala to awaaz aayi

pani pilana kyun ke hai pyasa

mera nawasa karbala mein

makke mein kaaba...

hai dil ka kaaba...


shayad yahan ho shayad wahan ho

aaun kidhar mai baba kahan ho

poocho khuda se kitna chali hai

bali sakina karbala mein

makke mein kaaba...

hai dil ka kaaba...


yaad aa rahi hai wo dosti bhi

bachpan mein jisne humko milaya

ibne mazahir ko sheh ne likha

mai hoo akela karbala mein

makke mein kaaba...

hai dil ka kaaba...


ek ek aayat ne siskiyan li

ek ek surat bharti thi aahein

jab barchiyon par kuch hafizon ne

quran uthaya karbala mein

makke mein kaaba...

hai dil ka kaaba...


maara gaya ye kis ka mohamed

iska kaleja cheda gaya kyun

bolay musalman apne nabi ko

hum hi ne maara karbala mein

makke mein kaaba...

hai dil ka kaaba...


be-hurmati kyun karte ho meri

aayat to padte tatheer ki tum

roya musalman ki ghairaton par

zainab ka parda karbala mein

makke mein kaaba...

hai dil ka kaaba...


ammar is gham ne khoon rulaya

jo mustafa ke kaandhon pe baitha

ummat ne uske laashe ko haye

ghodon se raundha karbala mein

makke mein kaaba...

hai dil ka kaaba...