jab mashk e sakina pe laga teer sitam ka
bikhre huwe laashon ne kaha haye hussaina
be dast alamdar ko be-deeno ne maara
ghode se gira khaak pe saqqa e sakina
darya pe utha shor alamdar alamdar
saqqa e haram syed o salaar alamdar
jaane se tere sheh ki kamar toot gayi hai
abbas tera rasta behan dekh rahi hai
shabbir huwe jeene se bezaar alamdar
abbas abbas abbas alamdar
darya pe utha shor...
pahunchi ye khabar qaima e shabbir mein jis dam
shabbir kamar thaam ke karne lage matam
ye bain kiye ay mere gham khaar alamdar
abbas abbas abbas alamdar
darya pe utha shor...
haathon mein liye kooze tadapte rahe pyase
aur pyason ke halqe mein sakina ke thay naale
pyason pe fida hogaya gham khaar alamdar
abbas abbas abbas alamdar
darya pe utha shor...
sadaat ko jab lootne aayenge sitamgar
phir kaun bachayega teri behna ki chadar
aaja meri chadar ke nigehdaar alamdar
abbas abbas abbas alamdar
darya pe utha shor...
bain sakina ne kiya haye alamdare hussain
nahar se ajao chacha haye alamdare hussain
karti hoo mai ye ilteja haye alamdare hussain
mujhe na tadpao chacha haye alamdare hussain
baazu e saqqae haram haye alamdare hussain
jab huwe darya pe qalam haye alamdare hussain
rone lage shaah e umam haye alamdare hussain
is se bada nahi sitam haye alamdare hussain
abbas ke nazdeek jo pahunche shah e waala
sar bhai ka ye kehte huwe godh mein rakha
tum to meri fauj ke salaar alamdar
abbas abbas abbas alamdar
darya pe utha shor...
ay dhaaras e shabbir zara aankhein to kholo
hasrat hai ke ek baar mujhe bhai to bolo
kya yaad hai bachpan ka tumhe pyar alamdar
abbas abbas abbas alamdar
darya pe utha shor...
qasim bhi gaye aun o mohamed bhi sidhare
akbar bhi chale jayenge ab baad tumhare
koi na raha saaya e deewar alamdar
abbas abbas abbas alamdar
darya pe utha shor...
deti thi yehi zainab e dilgeer duhaai
mai tere sahare pe watan chod ke aayi
kyun chod ke jaate ho wafadar alamdar
abbas abbas abbas alamdar
darya pe utha shor...
ghazi ki shahadat pe qayamat ka tha manzar
kar sakta nahi koi bayan mesum o mazhar
alfaaz ka lashkar hai qalamkaar alamdar
abbas abbas abbas alamdar
darya pe utha shor...