darya se kabhi qaime ko jayenge na abbas
chehra bhi sakina ko dikhaenge na abbas
kooze liye haaton may jo atfaal khade hai
nazrein bhi kabhi unse milayenge na abbas
darya se kabhi…
naize ki ijazat hai so naize se ladenge
talwaar kabhi ran may chalayenge na abbas
darya se kabhi…
jee bhar ke unhe dekhle ab saani e zehra
jayenge to ab laut ke aayenge na abbas
darya se kabhi…
sharmindagi itni hai bhatiji se ke ta-hashr
mashkeeze ko seene se hatayenge na abbas
darya se kabhi…
kis tarha se wo zeen se aayenge zameen par
haaton ka sahara bhi to payenge na abbas
darya se kabhi…
shahid yehi meraaj e ita'at hai jari ki
ankhein rukhe sarwar se hatayenge na abbas
darya se kabhi…