Kanz e Aza

Itrat e Athaar

A noha written by Shahid Jafer. Lyrics in Roman Urdu.

itrat-e-athaar ke ghamkhwar ashaab-e-hussain

lashkar-e-abbas ke jarrar ashaab-e-hussain


jab charag-e-qaimae-shah-e-shaheeda gul hua

kya habeeb ibne mazahir kya zaheer-o-ausaja

joshe nusrat mein har ek chehra munawar hogaya

karbala mein hai falak asaar ashaab-e-hussain

itrat-e-athaar ke…


raat bhar mehve talaya hai haram ke pasban

har qadam par nara-e-takbir hai wird-e-zaban

mashvare baham ye hai ke kiski jaaye pehle jaan

hai shab-e-ashoor se tayyar ashaab-e-hussain

itrat-e-athaar ke…


koshishe ye hai ke hamla ho to aage hum bade

taygh ke johar dikhaye sab se pehle hum lade

lashkar-e-aada ki nazre bhi na qaimo par pade

azm mein hai aahani devaar ashaab-e-hussain

itrat-e-athaar ke…


hur azaan-e-subh par aaye haraval hogaye

khoon ki surkhi se apni sab khatayein dho gaye

mil gaya rumaal-e-zehra neend aayi sogaye

dasht-e-ghurbat mein bhi hai meyar ashaab-e-hussain

itrat-e-athaar ke…


rok lenge apne seeno par har ek zarb e laayein

aap padhiyega namaz ay sarwar-e-dunya o deen

ham namaz-e-zuhr pad lenge sar e khuld e bareen

keh rahe hai ye basad asrar ashaab-e-hussain

itrat-e-athaar ke…


waqt-e-nazha john ka sar apne zano par rakha

martaba ek ye bhi aaqa ne ghulamon ko diya

aa gayi khushbu lahoo mein jism raushan hogaya

maut se hai kis qadar sarshaar ashaab-e-hussain

itrat-e-athaar ke…


qaima-e-shabbir mein ab be zaban koi nahi

qabre asghar dhoop mein hai sayeban koi nahi

shaah-e-deen maqtal mein hai aur meherban koi nahi

kaash jee ut'the faqat ek baar ashaab-e-hussain

itrat-e-athaar ke…


ruk na jaaye shiddate gham se kahin nabz-e-imam

be-rida hai bibiyna shahid sare bazaar-e-shaam

peysh honge sab haram ab bar sar-e-darbar-e-aam

aur udhar maqtal mein hai lachaar ashaab-e-hussain

itrat-e-athaar ke…