dekhe to koi raunaq maqtal may zara aake
shabbir ke aane se din phir gaye sehra ke
dekhe to koi…
qaime se janaze ki ruqsat ka sa manzar hai
aayenge na phir akbar maidan may ab jaa ke
dekhe to koi…
pamaal sumay aspa aisa na hua koi
bikhre hue tukde hai har simt may dulha ke
dekhe to koi…
ay azm talab ghazi ab koi nahi baakhi
abbas zara aansu ruk jaane to do aaqa ke
dekhe to koi…
ammu ke kabhi khisay baba ki kabhi baatein
bachi ko sulaati hai zainab yehi behlaake
dekhe to koi…
zainab ki sada sun kar khanjar talay sajde se
qaime ki taraf dekha shabbir ne ghabrake
dekhe to koi…
shahid ye azakhane veeran nahi honge
ta-hashr bhi gar dushman maare hamay aa aa ke
dekhe to koi…